Showing posts with label Dard Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dard Shayari. Show all posts

Wednesday, 1 May 2013

Urdu Sad Yaad Shayari- ik Dost Bahot Yaad Aaya


Aaj rootha hua ik Dost bahot yaad aaya
Aacha guzra hua kuch Waqt bahot yad aaya
Meri Aankhon ke hr ik ashq pe rone wala
Aaj jab aankh ye roei to bahot yad aaya
Jo mere Dard ko seenay men chupa leta tha
Aaj jab dard hua mujh ko bahot yad aay
Jo meri aankh men kajal ki trha rehta tha
Aaj kajal jo lagaya to bahot yad aaya
Jo mere Dil k tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil ne bhulaya to bahot yaad aaya

Sunday, 28 April 2013

Urdu Sad Shayari- Jeenay ki Umeed Day Do


Mujhe jeenay ki umeed dobara day do.
Meri doobti kashti ko kinara day do.

Main dard k sahil pe tanha kharra hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara day do.

Tera daman to bhara ha sitaron se.
Mujhe sadqay me aik sitara day do.

Maray aangan me aaj andhera hai bohat.
Meri dehleez ko phir apna nazara day do,

Chand lamhaytujhay dekhnay ki Hasrat hai bus.
main nay kab kaha waqt apna mujhay sara day do.