Showing posts with label Mosam Shayari. Show all posts
Showing posts with label Mosam Shayari. Show all posts

Thursday, 16 May 2013

Urdu Sad Mosam Shayari- Ye Thora Sa Adhura Sa Mosam


Ye Thora Sa Jiwan Adhura Sa Mosam
Ye Rango Ki Chahat Gulabo Ki Hasrat

Ye Roshan Sawere Ye Madham Andhere,
Kisi Roz Tanha Milo To Bataein!

Khayalo Ki Raahein Chamakti Nigahein,
Wafaein Nibhana Adaein Dikhana,

Ye 1 Silsila Hai Magar Fasla Hai,
Jawan Hain Umidein Uri Hain Jo Nindein,

Kisi Roz Tanha Milo To Bataein!
Agar Jan Jao To Ehsas Rakhna

Esay Raz Rakhna  Karo 1 Wada Banalo Erada
Mulaqat Karlo

Wohi Baat Karlo
Kisi Roz Tanha Milo to Batayein

Tuesday, 14 May 2013

Urdu Sad Mosam Shayari- Mosam Badal Gaye


Mosam Badal Gaye Zamaane Badal Gaye
Lamhon Main Dost Barson Puraane Badal Gaye

Din Bhar Rahe Jo Meri Mohabat Ki Chaaon Main
Wo Log Dhoop Dhalte Hia Badal Gaye

Jeene K Saare Dhang Bahaane Badal Gaye
Saare Hi Zindagi Ke Fasaane Badal Gaye.

Saturday, 4 May 2013

Urdu Sad Shayari Khuda sy achi umed rkhna

Tum arzu k diye jala k,
Khuda sy achi Umed rkhna..
Khizan k Mosam ki rukhsati py,
Bahar e gul ki naved rkhna..
Wo tera Rab hy,
Wo tera apna,
Usi ko apna Habeb rakhna..
Usi sy krna tu dil ki baten,
Tu Aankhmen ik nami si rkhna..
Wo tera Rab hy,
Wo tera Aqa,
Usi sy raz o niaz rkhna..
Usi sy ghm ki kahani kehna,
Ghamon ko dil men nihan na rkhna..
Raheem hy wo Karem hy wo,
Tu Rab ko apny aziz rkhna
Hy sans sy b qareb tr wo

Usi ko apny qareb rkhna..